Zindagi chup ke se ek baat kaha karti hai,
Waqt ke haathon mein kab dor raha karti hai..
Sard si shaamon mein chalti hai udaasi ki hawa,
Chaandni raat bhi khamosh raha karti hai..
Tum to aaye ho gulaabon ke liye der ke baad,
Qarya-e-jaan mein to ab khaak uda karti hai..
Be-sabab aankhon mein aansu bhi nahin aate ab,
Wahshat-e-dil bhi kahin door raha karti hai..
Raushni mein to nazar aate hain kitne saaye,
Par ye tareeki to saaya bhi juda karti hai..
Hum bhi kho jayenge ek roz ufuq par yunhi,
Kab kisi se ye 'Farah' zeest wafa karti hai.!!
"Farah Iqbal"
No comments:
Post a Comment