Aankh se khwab ka rishta nahin rahne deti,
Yaad us ki mujhe tanha nahin rahne deti..
Lazzat-e-dar-badri mein badi wus'at hai ke ye,
Dar-o-deewar ka jhagda nahin rahne deti..
Ghar ho ya raunaq-e-bazaar kahin bhi jaaun,
Be-qaraari to kisi ja nahin rahne deti..
Band kar lun to ajab naqsh nazar aate hain,
Aankh mahroom-e-tamasha nahin rahne deti..
Khwahish-e-zaar ki hawa dil ke siyah-khane mein,
Ek diya hai jise jalta nahin rahne deti.!!
"Farasat Rizwi"
No comments:
Post a Comment