Tuesday, May 29, 2018

Zara Si Raat Dhhal Jaaye To Shayad Neend Aa Jaaye

Zara si raat dhhal jaaye to shayad neend aa jaaye,
Zara sa dil bahal jaaye to shayad neend aa jaaye..

Abhi to karb hai be-chainiyan hain be-qaraari hai,
Tabiyat kuchh sambhal jaaye to shayad neend aa jaaye..

Hawa ke narm jhonkon ne jagaya teri yaadon ko,
Hawa ka rukh badal jaaye to shayad neend aa jaaye..

Ye tufaan aansuon ka jo umad aaya hai palkon tak,
Kisi surat ye tal jaaye to shayad neend aa jaaye..

Ye hansta muskuraata qaafila jo chaand taaron ka,
'Farah' aage nikal jaaye to shayad neend aa jaaye.!!

"Farah Iqbal"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...