Wo mere baare mein aise bhi sochta kab tha,
Agar main aks nahin thi wo aaina kab tha..
Jo jod deta ta'alluq ke sab rawabit ko,
Humare beech koi aisa silsila kab tha..
Wo zeena zeena mere dil mein yun utarta gaya,
Main rok paati use mujh mein hausla kab tha..
Wo khush-gumaan bahut tha ke main hun us ki magar,
Ye aarzu thi faqat mera faisla kab tha..
Wo mere zabt ko har aan aazmata raha,
Main sang-zaad hun us ko magar pata kab tha..
Suna nahin jo kaha tha to kaise samjhate,
Jo us ne samjha tha mera wo muddaa kab tha..
Bahaar ban ke wo milne to aa gaya tha mujhe,
Thehar bhi jaayega ye us ka faisla kab tha.!!
"Farah Iqbal"
__________
Rawabit = relations, connections,
No comments:
Post a Comment