Yoon to kis phool se rangat na gayi bu na gayi,
Ai mohabbat mere pahlu se magar tu na gayi..
Mit chale meri ummidon ki tarah harf magar,
Aaj tak tere khato'n se teri khushbu na gayi,
Kab bahaaron pe tere rang ka saaya na pada,
Kab tere gesuon ko baad-e-sahar chhu na gayi,
Tere gesu-e-mo'ambar ko kabhi chheda tha,
Mere haathon se abhi tak teri khushbu na gayi.!
"Akhtar Shirani"
_____
Gesu-e-mo'ambar = tresses fragrant with ambergris, amber
No comments:
Post a Comment