Zaban par aap ka naam aa raha tha,
Ghum-e-hasti ko aaram aa raha tha
Khuda ka shukr teri zulf bikhri,
Badi garmi ka hangaam aa raha tha,
Sitare so gaye angdaai le kar,
Ke afsane ka anjaam aa raha tha,
Tadap kar main ne tauba tod daali,
Teri rahmat pe ilzaam aa raha tha,
'Adam' dil kho ke aasuda nahin hum,
Bura tha ya bhala kaam aa raha tha.!!
"Abdul Hameed Adam"
No comments:
Post a Comment