Wo suraj itna nazdeek aa raha hai,
Meri hasti ka saaya ja raha hai,
Khuda ka aasra tum de gaye the,
Khuda hi aaj tak kaam aa raha hai,
Bikharna aur phir un gesuon ka,
Do-aalam par andhera chha raha hai,
Jawani aaina le kar khadi hai,
Bahaaron ko paseena aa raha hai,
Kuchh aise aai hai baad-e-muafiq,
Kinara dur hat ta ja raha hai,
Ghum-e-farda ka istiqbaal karne,
Khayal-e-ahd-e-maazi aa raha hai,
Wo itne be-murawwat to nahin the,
Koi qasdan unhein bahka raha hai,
Kuchh is pakeezgi se ki hai tauba,
Khyaalon par nasha sa chha raha hai,
Zaroorat hai ki badhti ja rahi hai,
Zamana hai ki ghat ta ja raha hai,
Hujoom-e-tishnagi ki raushni mein,
Zameer-e-may-kada tharra raha hai,
Khuda mahfooz rakkhe kashtiyon ko,
Badi shiddat ka tufaan aa raha hai,
Koi pichhle pahar dariya kinaare,
Sitaron ki dhuno'n par ga raha hai,
zara aawaz dena zindagi ko,
'Adam' irshaad kuchh farma raha hai.!!
"Abdul Hameed Adam"
No comments:
Post a Comment