Yunhi be-sabab na phira karo koi shaam ghar mein raha karo,
Wo ghazal ki sachchi kitaab hai use chupke chupke padha karo,
Koi haath bhi na milayega jo gale miloge tapaak se,
Ye naye mizaaj ka shahar hai zara faasle se mila karo,
Abhi raah mein kayi mod hain koi aayega koi jayega,
Tumhein jis ne dil se bhula diya use bhoolne ki dua karo,
Mujhe ishtihaar si lagti hain ye mohabbaton ki kahaniyan,
Jo kaha nahin wo suna karo jo suna nahin wo kaha karo,
Kabhi husn-e-parda-nasheen bhi ho zara aashiqana libaas mein,
Jo main ban sanwar ke kahin chalun mere saath tum bhi chala karo,
Nahin be-hijaab wo chaand sa ke nazar ka koi asar na ho,
Use itni garmi-e-shauq se badi der tak na taka karo,
Ye Khizaa'n ki zard si shaal mein jo udaas ped ke paas hai,
Ye tumhaare ghar ki bahaar hai use aansuon se hara karo.!
"Basheer Badr"
No comments:
Post a Comment