Zarron mein kunmunaati hui kayenaat hun
Jo muntazir hai jismo'n ki main wo hayaat hun,
Dono'n ko pyasa maar raha hai koi yazid,
Ye zindagi husain hai aur main furaat hun,
Neza zameen pe gaad ke ghode se kood ja,
Par main zameen pe aabla-pa khaali haath hun,
Kaisa falak hun jis pe samandar sawaar hai,
Sooraj bhi mere sar pe hai main kaisi raat hun,
Andhe kuein mein maar ke jo phenk aaye the,
Un bhaiyon se kahiyo abhi tak hayaat hun,
Aati hui train ke jo aage rakh gayi,
Us maa se ye na kahna ba-qaid-e-hayaat hun,
Bazaar ka naqeeb samajh kar mujhe na chhed,
Khamosh rahne de main tere ghar ki baat hun.!
"Basheer Badr"
___
Naqeeb = herald, chief, proclaimer,
No comments:
Post a Comment