Saturday, May 5, 2018

Wo Soorat Gard-e-ghum Mein Chhup Gayi Ho

Wo soorat gard-e-ghum mein chhup gayi ho,
Bahut mumkin ye wo hi aadmi ho,

Main thehra aabshaar-e-shahr-e-pur-fan,
Ghane jangal ki tum bahti nadi ho,

Bahut masroof hai angusht-e-naghma,
Magar tum to abhi tak baansuri ho,

Meri aankhon mein registaan base hain,
Koi aise mein saawan ki jhadi ho,

Diya jo bujh chuka hai phir jalaana,
Bahut mahsoos jab meri kami ho,

Ye shab jaise koi be-maa  ki bachchi,
Akele rote rote so gayi ho,

Wo dariya mein nahaana chandni ka,
Ke chaandi jaise ghul kar bah rahi ho,

Kahaani kahne waale kah rahe hain,
Magar jaane wahi jis par padi ho,

Miyaan! diwaan ka mat roaab daalo,
Padho koi ghazal jo waaqai ho,

Ghazal wo mat sunaana hum ko shaair,
Jo behad saama'in mein chal chuki ho.!!

"Basheer Badr"
___
Aabshaar-e-shahr-e-pur-fan = cascade of city full of creativity and arts,
Angusht-e-naghma = finger making melody,
Saama'in = audience,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...