Yaaro ku-e-yaar ki baatein karein,
Phir gul o gulzaar ki baatein karein,
Chandni mein ai dil ek ek phool se,
Apne gul-rukhsaar ki baatein karein,
Aankhon aankhon mein lutaye may-kade,
Deeda-e-sarshaar ki baatein karein,
Ab to miliye bas ladaai ho chuki,
Ab to chaliye pyaar ki baatein karein,
Phir mahak utthe faza-e-zindagi,
Phir gul o rukhsaar ki baatein karein,
Mahshar-e-anwaar kar dein bazm ko,
Jalwa-e-deedar ki baatein karein,
Apni aankhon se bahayein sail-e-ashk,
Abr-e-gauhar-baar ki baatein karein,
Un ko ulfat hi sahi aghyaar se,
Hum se kyun aghyaar ki baatein karein,
'Akhtar' us rangeen ada se raat bhar,
Taala-e-bedaar ki baatein karein.!!
"Akhtar Shirani"
_____
Deeda-e-sarshaar = intoxicated eyes,
Mahshar-e-anwaar = congregation of rays of life,
Sail-e-ashk = flood of tears,
Abr-e-gauhar-baar = pearl raining cloud,
Taala-e-bedaar = awakened fortune,
No comments:
Post a Comment