Wednesday, May 16, 2018

Yaqeen-e-waada Nahin Taab-e-intizaar Nahin

Yaqeen-e-waada nahin taab-e-intizaar nahin,
Kisi tarah bhi dil-e-zaar ko qaraar nahin,

Shabo'n ko khwab nahin khwab ko qaraar nahin,
Ke zeb-e-dosh wo gesu-e-mushk-baar nahin,

Kali kali mein samaai hai nik'hat-e-salma,
Shamim-e-hoor hai ye bu-e-nau-bahaar nahin,

Kahaan kahaan na hue mah-ru juda mujh se,
Kahawn kahaan meri ummid ka mazaar nahin,

Ghumo'n ki fasl hamesha rahi tar o taaza,
Ye wo khizaa'n hai ke sharminda-e-bahaar nahin,

Bahaar aai hai aise mein tum bhi aa jao,
Ke zindagi ka ba-rang-e-gul aitebaar nahin,

Kisi ki zulf-e-pareshan ka saaya-e-raqsaa'n hai,
Faza mein baal-fishaa'n abr-e-nau-bahaar nahin,

Sitara-waar wo pahlu mein aa gaye shab ko,
Sahar se kah do ki mahfil mein aaj baar nahin,

Gul-e-fasurda bhi ek turfa husn rakhta hai,
Khizaa'n ye hai to mujhe hasrat-e-bahaar nahin,

Har ek jaam pe ye naghma-e-hazin saaqi,
Ke is jawani-e-faani ka aitebaar nahin,

Khuda ne bakhsh diye mere dil ko ghum itne,
Ke ab main apne gunaahon pe sharmsaar nahin,

Chaman ki chandni raatein hain kis qadar viraan,
Ke is bahaar mein wo mah-e-nau-bahaar nahin,

Shareek-e-soz hain parwaane shama ke 'Akhtar',
Humare dil ka magar koi ghum-gusaar nahin.!

"Akhtar Shirani"
_____

Zeb-e-dosh = decorated shoulder,
Shamim-e-hoor = fragrance of houri,
Baal-fishaa'n = scattered, stringed hair,
Baar = load/ burden,
Gul-e-fasurda = withered flower,
Turfa = strange, agreeable, wonderful, rare,
Naghma-e-hazee'n = sad song,
Shareek-e-soz = joined in sorrow, burning,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...