Monday, May 14, 2018

Yaaro Kahaan Tak Aur Mohabbat Nibhaaun Main

Yaaro kahaan tak aur mohabbat nibhaaun main,
Do mujh ko bad-dua ki use bhool jaaun main,

Dil to jala kiya hai wo shoala sa aadmi,
Ab kis ko chhu ke haath bhi apna jalaaun main,

Sunta hun ab kisi se wafa kar raha hai wo,
Ai zindagi khushi se kahin mar na jaaun main,

Ek shab bhi wasl ki na mera saath de saki,
Ahd-e-firaaq aa ke tujhe aazmaaun main,

Badnaam mere qatl se tanha tu hi na ho,
La apni mohr bhi sar-e-mahzar lagaaun main,

Utra hai baam se koi ilhaam ki tarah,
Ji chahta hai saari zameen ko sajaaun main,

Us jaisa naam rakh ke agar aaye maut bhi,
Hans kar use 'Qateel' gale se lagaaun main.!!

"Qateel Shifai"
___
Sar-e-mahzar = a petition attested by number of witnesses laid before a judge,
Ilhaam = revelation, divine inspiration,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...