Wisaal ki sarhadon tak aa kar jamaal tera palat gaya hai,
Wo rang tu ne meri nigaahon pe jo bikhera palat gaya hai,
Kahaan ki zulfein kahaan ke baadal siwaye teera-naseebon ke,
Meri nazar ne jise pukara wahi andhera palat gaya hai,
Na chhanw karne ko hai wo aanchal na chain lene ko hain wo baahein
Musafiron ke qareeb aa kar har ek basera palat gaya hai,
Mere tasawwur ke raaston mein ubhar ke doobi hazaar aahat,
Na jaane shaam-e-alam se mil kar kahaan sawera palat gaya hai,
Mila mohabbat ka rog jis ko 'Qateel' kahte hain log jis ko,
Wahi to deewana kar ke teri gali ka phera palat gaya hai.!!
"Qateel Shifai"
___
Teera-naseebon = unfortunate,
No comments:
Post a Comment