Yaan hosh se be-zaar hua bhi nahin jaata,
Us bazm mein hushyaar hua bhi nahin jaata,
Kahte ho ke hum waada-e-pursish nahin karte,
Ye sun ke to beemar hua bhi nahin jaata,
Dushwaari-e-inkaar se taalib nahin darte,
Yun sahl to iqrar hua bhi nahin jaata,
Aate hain ayaadat ko to karte hain naseehat,
Ahbaab se ghum-khwar hua bhi nahin jaata,
Jaate hue khaate ho meri jaan ki qasmein,
Ab jaan se be-zaar hua bhi nahin jaata,
Ghum kya hai agar manzil-e-jaanaa hai bahut door,
Kya khaak-e-rah-e-yaar hua bhi nahin jaata,
Dekha na gaya us se tadapte hue dil ko,
Zaalim se jafa-kaar hua bhi nahin jaata,
Ye turfa sitam hai ke sitam bhi hai karam bhi,
Ab khugar-e-aazaar hua bhi nahin jaata.!!
"Faani Badayuni"
__________
Turfa = strange, agreeable, wonderful, rare,
Khugar-e-aazaar = habituated to sorrow,
No comments:
Post a Comment