Zabt apna shiaar tha, na raha,
Dil pe kuchh ikhtiyaar tha, na raha..
Dil-e-marhoom ko khuda bakhshe,
Ek hi ghum-gusaar tha, na raha..
Aa ke waqt-e-sukoon-e-marg aaya,
Naala na-khush-gawaar tha, na raha..
Un ke be-mehriyon ko kya maloom,
Koi ummid-waar tha, na raha..
Aah ka aitibaar bhi kab tak,
Aah ka aitibaar tha, na raha..
Kuchh zamane ko sazgaar sahi,
Jo hamein sazgaar tha, na raha..
Ab garebaan kahin se chaak nahin,
Shughl-e-fasl-e-bahaar tha, na raha..
Maut ka intizaar baqi hai,
Aap ka intizaar tha, na raha..
Mehrbaan ye mazaar-e-'Faani' hai,
Aap ka jaan-nisaar tha, na raha.!!
"Faani Badayuni"
No comments:
Post a Comment