Tuesday, May 29, 2018

Wo Poochhte Hain Hijr Mein Hai Iztiraab Kya

Wo poochhte hain hijr mein hai iztiraab kya,
Hairaan hun ke dun unhein is ka jawaab kya,

Dil aur wo bhi sirf mera dardmand dil,
Teri nigaah ne ye kiya intikhaab kya,

Jaati nahin khalish aalam-e-rozgaar ki,
Ai aasman hua wo tera inqilaab kya,

Nazzara-e-jamaal ki yaan taab hi nahin,
Ai barq-e-husn chahiye tujh ko naqaab kya,

Waada bhi kar lo waada pe yaan aa bhi jao tum,
Ye sab sahi tumhaari nahin ka jawaab kya,

Besh-az-gumaan khwaab nahin fursat-e-hayat,
'Faani' tum is khyaal ko samjhe ho khwaab kya.!!

"Faani Badayuni"
__________

Besh-az-gumaan = before imagination, thought,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...