Wednesday, May 16, 2018

Wo Jo Tere Faqeer Hote Hain

Wo jo tere faqeer hote hain,
Aadmi be-nazeer hote hain..

Dekhne waala ek nahin milta,
Aankh waale kaseer hote hain..

Jin ko daulat haqeer lagti hai,
Uff! wo kitne ameer hote hain..

Jin ko qudrat ne husn bakhsha ho,
Qudratan kuchh shareer hote hain..

Zindagi ke haseen tarkash mein,
Kitne be-rahm teer hote hain..

Wo parinde jo aankh rakhte hain,
Sab se pahle aseer hote hain..

Phool daaman mein chand rakh lijiye,
Raaste mein faqeer hote hain..

Hai khushi bhi ajeeb shay lekin,
Ghum bade dil-pazeer hote hain..

Ai 'Adam' ahtiyaat logon se,
Log munkir-nakeer hote hain.!!

"Abdul Hameed Adam"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...