Wednesday, May 16, 2018

Wo Baatein Teri Wo Fasane Tere

Wo baatein teri wo fasane tere,
Shagufta shagufta bahane tere,

Bas ek daagh-e-sajda meri kaaynaat,
Jabeenein teri aastane tere,

Mazaalim tere aafiyat-afreen,
Marasim suhane suhane tere,

Faqeeron ki jholi na hogi tahi,
Hain bharpur jab tak khazane tere,

Dilo'n ko jarahat ka lutf aa gaya,
Lage hain kuchh aise nishane tere,

Aseeron ki daulat aseeri ka ghum,
Naye dam tere puraane tere,

Bas ek zakhm-e-nazzara hissa mera,
Bahaarein teri aashiyane tere,

Faqeeron ka jamghat ghaid do ghadi,
Sharabein teri baada-khane tere,

Zameer-e-sadaf mein kiran ka maqaam,
Anokhe anokhe thikane tere,

Bahaar o khizaa'n kam-nigahon ke wahm,
Bure ya bhale sab zamane tere,

'Adam' bhi hai tera hikayat-kada,
Kahaan tak gaye hain fasane tere.!!

"Abdul Hameed Adam"
_____
Jarahat = Surgery,
Hikayat-kada = House of stories,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...