Wo hum se aaj bhi daaman-kashaa'n chale hai miyaan,
Kisi pe zor humara kahaan chale hai miyaan..
Jahaan bhi thak ke koi karwaan theharta hai,
Wahin se ek naya karwaan chale hai miyaan..
Jo ek samt gumaan hai to ek samt yaqeen,
Ye zindagi to yunhi darmiyaan chale hai miyaan..
Badalte rahte hain bas naam aur to kya hai,
Hazaron saal se ek dastaan chale hai miyaan..
Har ek qadam hai naui aazmaaishon ka hujoom,
Tamaam umr koi imtihaan chale hai miyaan..
Wahin pe ghoomte rahna to koi baat nahin,
Zameen chale hai to aage kahaan chale hai miyaan..
Wo ek lamha-e-hairat ke lafz saath na dein,
Nahin chale hai na aise mein haan chale hai miyaan.!!
"Jaan Nisaar Akhtar"
__________
Daaman-kashaa'n = ignoring,
No comments:
Post a Comment