Ufuq agarche pighalta dikhaai padta hai,
Mujhe to door sawera dikhaai padta hai..
Humare shahar mein be-chehra log baste hain,
Kabhi kabhi koi chehra dikhaai padta hai..
Chalo ke apni mohabbat sabhi ko baant aayen,
Har ek pyaar ka bhookha dikhaai padta hai..
Jo apni zaat se ek anjuman kaha jaaye,
Wo shakhs tak mujhe tanha dikhaai padta hai..
Ba koi khwaab na koi khalish na koi khumaar,
Ye aadmi to adhoora dikhaai padta hai..
Lachak rahi hain shuaaon ki seedhiyan paiham,
Falak se koi utarta dikhaai padta hai..
Chamakti ret pe ye ghusl-e-aftaab tera,
Badan tamaam sunahra dikhaai padta hai.!!
"Jaan Nisaar Akhtar"
No comments:
Post a Comment