Wo ahd-e-jawani wo kharabaat ka aalam,
Naghmaat mein doobi hui barsaat ka aalam,
Allah re us zulf ke jaan-bakhsh andhere,
Jaise ki mahakte hue zulmaat ka aalam,
Si ra'asha-e-masti ka sabab poochhne waale,
Dekha hai kabhi pahli mulaqaat ka aalam,
Nikle the mere saath wo jab bazm-e-azal se,
Kuchh subah ke aasar the kuchh raat ka aalam,
Yun us ki jawani ka kuchh andaza tha jaise,
May-khane pe umdi hui barsaat ka aalam,
Aankhon ke tasadum mein hikayat ki duniya,
Honthon ke tasadum mein kharabaat ka aalam,
Aawaz mein kaliyon ke chatakhne ki latafat,
Raftaar mein bahte hue naghmaat ka aalam,
Hansti hui aankhon se sawalaat ki baarish
Jalte hue honthon mein jawabaat ka aalam,
Kuchh mujh ko khabar thi na unhein hosh tha apna,
Allah re mad-hoshi o jazbaat ka aalam,
Aankhon mein shafaq, jism mein may, zulf mein thandak,
Aalam bhi wo aalam ke kharabaat ka aalam,
Anfaas se aati hui ek narm si khushbu,
Simta hua honthon mein mudaraat ka aalam,
Wo cheez jise zindagi kahte hain wo kya hai,
Hanste hue shaffaaf khyalaat ka aalam,
Baitha hun 'Adam' le ke badi der se dil mein,
Kahte hain jise harf-o-hikayaat ka aalam.!!
"Abdul Hameed Adam"
_____
Tasadum = clash, collision, conflict, opposition,
Anfaas = breath,
Mudaraat = politeness, courtesy, hospitality,
No comments:
Post a Comment