Wo abru yaad aate hain wo mizhgaa'n yaad aate hain,
Na poochho kaise kaise tir-o-paikaa'n yaad aate hain,
Wo jin ke tahat jhuk jaata tha sar asnaam ke aage,
Wahi bhoole hue ahkaam-e-yazdaa'n yaad aate hain,
Jo akasr baar-war hone se pahle toot jaate the,
Wahi khasta shikasta ahd-o-paimaa'n yaad aate hain,
Wo marmar ki tarah shaffaaf aur hanste hue a'aza,
Hayat-e-jawidaa'n ke saaz-o-saama'n yaad aate hain,
Gumaan hota hai wahshi nik'haton ne bhench daala hai,
Kuchh itne be-mahaba sumbulista'n yaad aate hain,
Wo gul-andaza jin ka khalq sarmaya tha jeene ka,
Eo ban ban kar charagh-e-mahfil jaa'n yaad aate hain..
Khyaal aata hai jab bhi dilbaro'n ki hum-nasheeni ka,
Talatum rang ke khushbu ke tufaa'n yaad aate hain,
Udi phirti thi boso'n ki chatakh jin ki fazaon mein,
Wo ahsasaat mein doobe shabista'n yaad aate hain,
Faqih-o-shaikh ke zehno'n mein but honge khudaon ke,
Main insaa'n hun mujhe to sirf insaa'n yaad aate hain,
Piyala shaam ko rakhta hun jab bhi main 'Adam' aage,
Jawaan hum-joliyon ke ru-e-khandaa!n yaad aate hain.!!
"Abdul Hameed Adam"
_____
Be-mahaba = unrestrained,
No comments:
Post a Comment