Thursday, May 17, 2018

Un Ko Ahd-e-shabaab Mein Dekha

Un ko ahd-e-shabaab mein dekha,
Chandni ko sharaab mein dekha,

Aankh ka aitebaar kya karte,
Jo bhi dekha wo khwaab mein dekha,

Daagh sa mahtaab mein paaya,
Zakhm sa aaftab mein dekha,

Jaam la kar qareeb aankhon ke,
Aap ne kuchh sharaab mein dekha,

Kis ne chheda tha saaz-e-masti ko?
Ek shoala rubaab mein dekha,

Log kuchh mutmaeen bhi the phir bhi,
Jis ko dekha azaab mein dekha,

Hijr ki raat so gaye the 'Adam',
Subah-e-mahshar ko khwaab mein dekha.!!

"Abdul Hameed Adam"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...