Monday, May 14, 2018

Us Par Tumhaare Pyaar Ka Ilzaam Bhi To Hai

Us par tumhaare pyaar ka ilzaam bhi to hai,
Achchha sahi 'Qateel' par badnaam bhi to hai,

Aankhein har ek haseen ki be-faiz to nahin,
Kuchh saagaron mein baada-e-gulfaam bhi to hai,

Palkon pe ab nahin hai wo pahla sa baar-e-ghum,
Rone ke baad kuchh humein aaram bhi to hai,

Aakhir buri hai kya dil-e-nakaam ki khalish,
Saath us ke ek lazzat-e-be-naam bhi to hai,

Kar to liya hai qasd ibaadat ki raat ka,
Raste mein jhoomti hui ek shaam bhi to hai,

Hum jaante hain jis ko kisi aur naam se,
Ek naam us ka gardish-e-ayyaam bhi to hai,

Ai tishna-kaam-e-shauq ise aazma ke dekh,
Wo aankh sirf aankh nahin jaam bhi to hai,

Munkir nahin koi bhi wafa ka magar 'Qateel',
Duniya ke saamne mera anjaam bhi to hai.!!

"Qateel Shifai"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...