Monday, May 14, 2018

Us Ada Se Bhi Hun Main Aashna Tujhe Itna Jis Pe Ghuroor Hai

Us ada se bhi hun main aashna tujhe itna jis pe ghuroor hai,
Main jiyunga tere baghair bhi mujhe zindagi ka shaoor hai,

Na hawas mujhe may-e-naab ki na talab saba-o-sahaab ki,
Teri chashm-e-naaz ki khair ho mujhe be-piye hi suroor hai,

Jo samajh liya tujhe ba-wafa to phir is mein teri bhi kya khata,
Ye khalal hai mere dimagh ka ye meri nazar ka qusoor hai,

Koi baat dil mein wo thaan ke na ulajh pade teri shaan se,
Wo niyaz-mand jo sar-ba-kham kayi din se tere huzoor hai,

Mujhe dengi khaak tasalliyan teri jaan-gudaaz tajalliyan,
Main sawaal-e-shauq-e-wisaal hun to jalaal-e-shoala-e-toor hai,

Main nikal ke bhi tere daam se na girunga apne maqaam se,
Main 'Qateel'-e-tegh-e-jafa sahi mujhe tujh se ishq zaroor hai.!!

"Qateel Shifai"
___
May-e-naab = neat wine,
Saba-o-sahaab = morning breeze and cloud,
Niyaz-mand = supplicating, humble, obedient, needy,
Jaan-gudaaz = life-afflicting,
Tajalliyan = lightenings,
Sawaal-e-shauq-e-wisaal = question of sexual union,
Qateel-e-tegh-e-jafa = Qateel-Pen name-salughtered by sword of inconstancy,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...