Wednesday, May 16, 2018

Us Mah-jabeen Se Aaj Mulaqaat Ho Gayi

Us mah-jabeen se aaj mulaqaat ho gayi,
Be-dard aasman ye kya baat ho gayi,

Aawargan-e-ishq ka maskan na poochhiye,
Pad rahte hain wahin pe jahaan raat ho gayi,

Zikr-e-shab-e-wisaal ho kya qissa mukhtasar,
Jis baat se wo darte the wo baat ho gayi,

Masjid ko hum chale gaye masti mein bhool kar,
Hum se khata ye peer-e-kharabaat ho gayi,

Pichhle ghumon ka zikr hi kya jab wo mil gaye,
Ai aasman talaafi-e-mafaat ho gayi,

Zahid ko zindagi hi mein kausar chakha diya,
Rindon se aaj ye bhi karamaat ho gayi,

Be-chain rakhne waale pareshaan hon khud na kyun,
Aakhir ko teri zulf meri raat ho gayi,

Jhoola jhulaayen chal ke haseenon ko baagh mein,
Gujraat mein suna hai ke barsaat ho gayi,

Kya fayeda ab 'Akhtar' agar paarsa bane,
Jab saari umr nazr-e-kharabaat ho gayi.!!

"Akhtar Shirani"
_____

Talaafi-e-mafaat = rectifying mistakes,
Nazr-e-kharabaat = offering to those ruined,
Peer-e-kharabaat = owner of ruined,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...