Un ras bhari aankhon mein haya khel rahi hai,
Do zahar ke pyalon pe qaza khel rahi hai,
Hain nargis-o-gul kis liye mas'hoor-e-tamasha,
Gulshan mein koi shokh ada khel rahi hai,
Us bazm mein jaayen to ye kahti hain adaa'en,
Kyun aaye ho, kya sar pe qaza khel rahi hai,
Us chashm-e-siyah mast pe gesu hain pareshaan,
May-khane pe ghanghor ghata khel rahi hai,
Bad-masti mein tum ne unhein kya kah diya 'Akhtar',
Kyun shokh-nigaahon mein haya khel rahi hai.!!
"Akhtar Shirani"
_____
Mas'hoor-e-tamasha = enchanted,spellbound by spectacle,
No comments:
Post a Comment