Waada us mah-ru ke aane ka,
Ye naseeba siyah-khane ka,
Kah rahi hai nigaah-e-duz-deeda,
Rukh badalne ko hai zamane ka,
Zarre zarre mein be-hijaab hain wo
Jin ko daawa hai munh chhupane ka,
Haasil-e-umr hai shabab magar,
Ek yahi waqt hai ganwane ka,
Chandni khamoshi aur aakhir shab,
Aa ke hai waqt dil lagane ka,
Hai qayamat tere shabab ka rang,
Rang badlega phir zamane ka,
Teri aankhon ki ho na ho taqseer,
Naam ruswa sharab-khane ka,
Rah gaye ban ke hum sarapa ghum,
Ye nateeja hai dil lagane ka,
Jis ka har lafz hai sarapa ghum,
Main hun unwaan us fasane ka,
Us ki badli hui nazar tauba,
Yun badalta hai rukh zamane ka,
Dekhte hain humein wo chhup chhup kar,
Parda rah jaaye munh chhupane ka,
Kar diya khoogar-e-sitam 'Akhtar',
Hum pe ahsaan hai zamane ka.!!
"Akhtar Shirani"
_____
Mah-ru = having a face as beautiful as the, moon,
Nigaah-e-duz-deeda = avoiding glance,
Khoogar-e-sitam = habitually tyrannical,
No comments:
Post a Comment