Sunday, May 6, 2018

Us Lams Ka Koi Naam To Ho Jo Tujh Ko Soch Ke Jagta Hai

||| Nazm |||

Us lams ka koi naam to ho jo tujh ko soch ke jagta hai,
Jo tere zikr ke aate hi rag rag mein daudne lagta hai,

Kyun tere naam ko sunte hi meri saans mahakne lagti hai,
Ahsaas nashe mein hota hai har fikr bahakne lagti hai,

Ek nadeeda ahsaas meri poro'n mein ghulne lagta hai,
Ek band dareecha hasrat ka khwaabon mein khulne lagta hai,

Jab chaand nikal kar baadal se aankhon mein sapna bota hai,
Ek khwahish ki tanhaai se bedaar junoon jab hota hai,

Jab dasht-e-talab mein pyaas meri aankhon ko nigalne lagti hai,
Jab aas ummeed ki duniya mein ek shaam si dhhalne lagti hai,

Jis waqt ghamo'n ki wahshat ka ek saaya mujh par jhukta hai,
Us waqt tera ahsaas mere pahlu mein aa kar rukta hai,

Aur us ahsas ke chhoote hi main taabinda ho jaati hun,
Meri saansein chalne lagti hain phir se zinda ho jaati hun.!!

"Naaz Butt"
___
Taabinda = shining bright, luminous,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...