||| Nazm |||
Kayi sadiyon se sahra ki sulagti ret par,
Tanha khadi main sochti hun,
Nahin koi nahin hai,
Nahin koi nahin hai jo mere andar bilakti khamushi ko,
Thapkiyaan de kar sula daale,
Mohabbat ok mein bhar kar pila daale,
Ye kaisi be-niyaazi hai,
Ke jalti erhiyon ki siskiyaan sun kar bhi baadal chup raha hai,
Ye kaise rat-jage aankhon mein utre hain,
Ke jin ke silsile qarnon pe phaile hain,
Magar main hijr ke mausam liye,
Kab se
Kisi banjar zameen ke khwaab ka tawaan bharti hun.!!
"Naaz Butt"
___
Qarnon = eons,
Tawaan = penalty, fine, damages, compensation,
No comments:
Post a Comment