||| Nazm |||
Ajab samaa'n hai,
Main band aankhon se tak rahi hun,
Khumar-e-shab mein gulaab-rut ki rafaqaton se mahak rahi hun,
Wo narm khushbu ki tarah dil mein utar raha hai,
Mein qurb-e-jaan ki latafaton se bahak rahi hun,
Ye chahaton ki haseen baarish ka moajiza hai,
Ke mari porein sulag rahi hain,
Main qatra qatra pighal rahi hun,
Main rang-o-khushbu ka lams pa kar,
Wafa ke paikar mein dhhal rahi hun,
Na main zameen par,
Na aasman mein,
Wo aisa jaadu jaga raha hai,
Gulaabi barish
Sunahre sapnon ke saare matlab
Wo dheere dheere sujha raha hai
Mujhe wo mujh se chura raha hai..!!
"Naaz Butt"
___
Qurb-e-jaan = nearness to life,
Latafaton = Subtleties; pleasures; joys,
Porein = Joints in body; spaces between joints,
No comments:
Post a Comment