Monday, May 14, 2018

Tumhaari Anjuman Se Uth Kar Deewane Kahaan Jaate

Tumhaari anjuman se uth kar deewane kahaan jaate,
Jo waabasta huye tum se woh afsaane kahaan jaate,

Nikal kar dair o kaaba se agar milta na maikhana,
To thukraye huye insaan khuda jaane kahaan jaate,

Tumhaari berukhi ne laaj rakh li baada-khane ki,
Tum aankhon se pilaa dete to paimaane kahaan jaate,

Chalo achcha hua kaam aa gayi deewangi apni,
Wagarna hum zamaane bhar ko samjhaane kahaan jaate,

"Qateel" apna muqaddar ghum se begaana agar hota,
To apne paraaye hum se pehchaane kahaan jaate..!!

"Qateel Shifai"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...