Wednesday, May 16, 2018

Un Ko Bulayen Aur Wo Na Aayen To Kya Karen

Un ko bulayen aur wo na aayen to kya karen,
Bekaar jaayen apni duayen to kya karen,

Ek zohra-wash hai aankh ke pardon mein jalwagar,
Nazron mein aasman na samayen to kya karen,

Maana ke sab ke saamne milne se hai hijaab,
Lekin wo khwab mein bhi na aayen to kya karen,

Hum laakh qasmein khaayen na milne ki sab ghalat,
Wo door hi se dil ko lubhayen to kya karen,

Bad-qismaton ka yaad na karne pe hai ye haal,
Allah agar wo yaad hi aayen to kya karen,

Naaseh humari tauba mein kuchh shak nahin magar,
Shaana hilayen aa ke ghatayen to kya karen,

May-khana door raasta tareek hum mareez,
Munh pher dein udhar jo hawayen to kya karen,

Raaton ke dil mein yaad basayen kisi ki hum,
'Akhtar' haram mein wo na bulayen to kya karen.!!

"Akhtar Shirani"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...