Wednesday, May 16, 2018

Umr Bhar Ki Talkh Bedaari Ka Samaa'n Ho Gayin

Umr bhar ki talkh bedaari ka samaa'n ho gayin,
Haye wo raatein ke jo khwab-e-paresha'n ho gayin,

Main fida us chaand se chehre pe jis ke noor se,
Mere khwabon ki faza'en yusufista'n ho gayin,

Umr bhar kam-bakht ko phir neend aa sakti nahin,
Jis ki aankhon par teri zulfein paresha'n ho gayin,

Dil ke pardon mein thin jo jo hasratein parda-nasheen,
Aaj wo aankhon mein aansu ban ke uryaa'n ho gayin,

Kuchh tujhe bhi hai KHabar o sone waale naaz se,
Meri raatein lut gayin neendein paresha'n ho gayin,

Haye wo mayoosiyon mein meri ummidon ka rang,
Jo sitaron ki tarah uth uth ke pinhaa'n ho gayin,

Bas karo o meri rone waali aankhon bas karo,
Ab to apne zulm par wo bhi pashemaa'n ho gayin,

Aah wo din jo na aaye phir guzar jaane ke baad,
Haye wo raatein ke jo khwab-e-paresha'n ho gayin,

Gulshan-e-dil mein kahaan 'Akhtar' wo rang-e-nau-bahaar,
Aarzuein chand kaliyaan thin paresha'n ho gayin.!!

"Akhtar Shirani"
_____

Khwab-e-paresha'n = a dreadful dream,
Yusufista'n = imaginary city of Joseph-like, beautiful people,
Uryaa'n = naked, bare, Nude,
Pinhaa'n = concealed, hidden,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...