Thursday, May 17, 2018

Tauba Ka Takalluf Kaun Kare Haalaat Ki Niyyat Theek Nahin

Tauba ka takalluf kaun kare haalaat ki niyyat theek nahin,
Rahmat ka irada bigda hai barsaat ki niyyat theek nahin,

Ai shama bachana daaman ko ismat se mohabbat arzaa'n hai,
Aaluda-nazar parwanon ke jazbaat ki niyyat theek nahin,

Kal qata-taalluq kar lena is waqt to duniya meri hai,
Ye raat ki qasmein jhoothi hain ye raat ki niyyat theek nahin,

Aisa nazar aata hai jaise ye shay mujhe paagal kar degi,
Thodi si tawajjoh bar-haq hai bohtaat ki niyyat theek nahin,

Raftaar-e-zamana ka lahja saffaak dikhaai deta hai,
Bar-waqt koi tadbeer karo aafaat ki niyyat theek nahin,

May-khane ki rasm-o-raah mein bhi ho jaaye na shaamil khot kahein,
Khuddaam fareb-amaada hain khidmaat ki niyyat theek nahin,

Thoda sa kada gar dil ko karun aadat badal to sakti hain,
Par asl musibat to ye hai aadaat ki niyyat theek nahin,

Darta hun 'Adam' phir aaj kahin shoala na uthe bijli na gire,
Barbat ki tabiyat uljhi hai naghmaat ki niyyat theek nahin..!!

"Abdul Hameed Adam"
__________

Ismat = chastity, honour, protection,
Arzaa'n = of lesser value, cheap,
Aaluda-nazar = sullied, defiled by looks,
Bohtaat = excess, abundance,
Shaffaak = cruel, tyrant,
Bar-waqt = on time,
Tadbeer = advice, solution, arrangement,, 
Aafaat = calamities,
Khuddaam = servants,
Fareb-amaada = inclined to deception,
Barbat = a harp, 

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...