Udaas kaaghzi mausam mein rang o bu rakh de,
Har ek phool ke lab par mera lahu rakh de..
Zabaan-e-gul se chattanein taraashne waale,
Nigaar o naqsh mein aasaaish-e-numu rakh de..
Suna hai ahl-e-khirad phir chaman sajayenge,
Junoon bhi jeb o garebaan pa-e-rafu rakh de..
Shafaq hai phool hai deepak hai chaand bhi hai magar,
Unhin ke saath kahin saaghar o subu rakh de..
Chala hai jaanib-e-may-khana aaj phir waaiz,
Kahin na jaam pe lab apne be-wazu rakh de..
Tamaam shahar ko apni taraf jhuka lunga,
Ghum-e-habeeb mere sar pe haath tu rakh de..
Giraa'n lage hai jo ahsaan dast-e-qaatil ka,
Uth aur tegh ke lab par rag-e-gulu rakh de..
Khuda kare mera munsif saza sunane par,
Mera hi sar mere qaatil ke ru-ba-ru rakh de..
Samandaron ne bulaya hai tujh ko ai 'Bekal',
Tu apni pyaas ki sahra mein aabru rakh de..!!
"Bekal Utsahi"
__________
Aasaaish-e-numu = facility of growth,
Ahl-e-khirad = wise people,
Pa-e-rafu = for darning,
Rag-e-gulu = vein of neck,
maupediasaAtlanta Aaron Clay https://wakelet.com/wake/qifMmgNJgo1TULkaeCBfG
ReplyDeletewreakadfpowout
Oconreters_ru Adam Mooney Autodesk AutoCAD
ReplyDeleteDriver Genius
Express VPN
dhilivterga