Saturday, May 26, 2018

Udhar Wo Haathon Ke Patthar Badalte Rahte Hain

Udhar wo haathon ke patthar badalte rahte hain,
Idhar bhi ahl-e-junoon sar badalte rahte hain..

Badalte rahte hain poshaak dushman-e-jaani,
Magar jo dost hain paikar badalte rahte hain..

Hum ek baar jo badle to aap rooth gaye,
Magar janaab to aksar badalte rahte hain.. 

Ye dabdaba ye hukumat ye nashsha-e-daulat,
Kiraya-daar hain sab ghar badalte rahte hain..!!

"Bekal Utsahi"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...