Tum poochho aur main na bataaun aise to haalaat nahin,
Ek zara sa dil toota hai aur to koi baat nahin,
Kis ko khabar thi saanwle baadal bin barse ud jaate hain,
Saawan aaya lekin apni qismat mein barsaat nahin,
Toot gaya jab dil to phir ye saans ka naghma kya maani,
Goonj rahi hai kyun shahnaai jab koi baraat nahin,
Ghum ke andhiyare mein tujh ko apna saathi kyun samjhun,
Tu phir tu hai, mera to saya bhi mere saath nahin,
Maana jeewan mein aurat ek baar mohabbat karti hai,
Lekin mujh ko ye to bata de kya tu aurat zaat nahin,
Khatm hua mera fasana ab ye aansu ponchh bhi lo,
Jis mein koi taara chamke aaj ki raat wo raat nahin,
Mere ghamgeen hone par ahbaab hain yun hairaan 'Qateel',
Jaise main patthar hun mere seene mein jazbaat nahin.!!
"Qateel Shifai"
No comments:
Post a Comment