Monday, May 14, 2018

Titliyon Ka Rang Ho Ya Jhoomte Baadal Ka Rang

Titliyon ka rang ho ya jhoomte baadal ka rang,
Hum ne har ek rang ko jaana tere aanchal ka rang,

Teri aankhon ki chamak hai ya sitaaron ki ziya,
Raat ka hai ghup andhera ya tere kaajal ka rang,

Dhadkanon ke taal par wo haal apne dil ka hai,
Jaise gori ke thirakte paanw mein payel ka rang,

Phenkna tum soch kar lafzon ka ye kadwa gulaal,
Phail jaata hai kabhi sadiyon pe bhi ek pal ka rang,

Aah ye rangeen mausam khoon ki barsaat ka,
Chha raha hai aql par jazbaat ki halchal ka rang,

Ab to shabnam ka har ek moti hai kankar ki tarah,
Haan usi gulshan pe chhaya tha kabhi makhmal ka rang,

Phir rahe hain log haathon mein liye khanjar khule,
Kooche kooche mein ab aata hai nazar maqtal ka rang,

Zhaar jaanib jis ki raanaai ke charche hain 'Qateel',
Jaane kab dekhenge hum us aane waali kal ka rang.!!

"Qateel Shifai"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...