Monday, May 14, 2018

Tarab-khanon Ke Naghme Ghum-kadon Ko Bha Nahin Sakte

Tarab-khanon ke naghme ghum-kadon ko bha nahin sakte,
Hum apne jaam mein apna lahu chhalka nahin sakte,

Chaman waale khizaan ke naam se ghabra nahin sakte,
Kuchh aise phool bhi khilte hain jo murjha nahin sakte,

Nigaahein saath deti hain to sunte hain wo afsaane,
Jo palkon se jhalakte hain zabaan par aa nahin sakte,

Ab aa kar laaj bhi rakh le khizaan-dida bahaaron ki,
Ye deewane fasaanon se to ji bahla nahin sakte,

Kuchh aisi dukh-bhari baatein bhi hoti hain mohabbat mein,
Jinhein mahsoos karte hain magar samjha nahin sakte,

Chalo pabandi-e-fariyaad bhi hum ko gawara hai,
Magar wo geet jo hum muskura kar ga nahin sakte,

Humein patwaar apne haath mein lene padein shayad,
Ye kaise nakhuda hain jo bhanwar tak ja nahin sakte.!!

"Qateel Shifai"
___
Tarab-khanon = houses of joyous excitement, joy, hilarity,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...