Sunday, May 20, 2018

Teri Surat Jo Dil-Nasheen Ki Hai

Teri surat jo dil-nasheen ki hai,
Aashna shakl har haseen ki hai,

Husn se dil laga ke hasti ki,
Har ghadi hum ne aatisheen ki hai,

Subah-e-gul ho ke shaam-e-may-khana,
Mad'h us ru-e-nazneen ki hai,

Shaikh se be-hiraas milte hain,
Hum ne tauba abhi nahin ki hai,

Zikr-e-dozakh bayaan-e-hoor o qusoor,
Baat goya yahin kahin ki hai,

Ashk to kuchh bhi rang la na sake,
Khoon se tar aaj aasteen ki hai,

Kaise maanein haram ke sahl-pasand,
Rasm jo aashiqon ke deen ki hai,

'Faiz' auj-e-khyaal se hum ne,
Aasman sindh ki zameen ki hai..!!

"Faiz Ahmad Faiz"
__________

Be-hiraas = without getting panicky,
Sahl-pasand = ease-loving,
Auj-e-khyaal = heights of thought,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...