Teri ummid tera intizaar jab se hai,
Na shab ko din se shikayat na din ko shab se hai,
Kisi ka dard ho karte hain tere naam raqam,
Gila hai jo bhi kisi se tere sabab se hai,
Hua hai jab se dil-e-na-suboor be-qaabu,
Kalaam tujh se nazar ko bade adab se hai,
Agar sharar hai to bhadke jo phool hai to khile,
Tarah tarah ki talab tere rang-e-lab se hai,
Kahaan gaye shab-e-furqat ke jaagne waale,
Sitara-e-sahri hum-kalaam kab se hai.!!
"Faiz Ahmad Faiz"
__________
Dil-e-na-suboor = impatient heart,
Sharar = spark , flash, gleam,
No comments:
Post a Comment