Tere ghum ko jaan ki talash thi tere jaan-nisaar chale gaye,
Teri raah mein karte the sar talab sar-e-rahguzaar chale gaye,
Teri kaj-adaai se haar ke shab-e-intizaar chali gayi,
Mere zabt-e-haal se rooth kar mere ghum-gusaar chale gaye,
Na sawal-e-wasl na arz-e-ghum na hikayatein na shikayatein,
Tere ahd mein dil-e-zaar ke sabhi ikhtiyaar chale gaye,
Ye humin the jin ke libaas par sar-e-raah siyahi likhi gayi,
Yahi daagh the jo saja ke hum sar-e-bazm-e-yaar chale gaye,
Na raha junoon-e-rukh-e-wafa ye rasan ye daar karoge kya,
Jinhein jurm-e-ishq pe naaz tha wo gunahgaar chale gaye..!!
"Faiz Ahmad Faiz"
No comments:
Post a Comment