Wednesday, May 9, 2018

Tere Jaisa Mera Bhi Haal Tha Na Sukoon Tha Na Qaraar Tha

Tere jaisa mera bhi haal tha na sukoon tha na qaraar tha,
Yahi umr thi mere hum-nasheen ke kisi se mujh ko bhi pyaar tha,

Main samajh raha hun teri kasak tera mera dard hai mushtarak,
Isi ghum ka tu bhi aseer hai isi dukh ka main bhi shikaar tha,

Faqat ek dhun thi ke raat-din isi khwaab-zaar mein gum rahein,
Wo suroor aisa suroor tha wo khumaar aisa khumaar tha,

Kabhi lamha-bhar ki bhi guftugu meri us ke saath na ho saki,
Mujhe fursatein nahin mil sakin wo hawa ke rath par sawaar tha,

Hum ajeeb tarz ke log the ke humare aur hi rog the,
Main khizaa'n mein us ka tha muntazir use intizaar-e-bahaar tha,

Use padh ke tum na samajh sake ke meri kitaab ke roop mein,
Koi qarz tha kai saal ka kayi rat-jagon ka udhaar tha.!!

"Aitebaar Sajid"
___
Mushtarak = common, joint,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...