Subah ki aaj jo rangat hai wo pahle to na thi,
Kya khabar aaj khiramaa'n sar-e-gulzaar hai kaun...
Shaam gulnaar hui jaati hai dekho to sahi,
Ye jo nikla hai liye mish'al-e-rukhsaar hai kaun...
Raat mahki hui aai hai kahin se poochho,
Aaj bikhraye hue zulf-e-trah-daar hai kaun...
Phir dar-e-dil pe koi dene laga hai dastak,
Jaaniye phir dil-e-wahshi ka talabgaar hai kaun.!!
"Faiz Ahmad Faiz"
__________
Khiramaa'n = graceful walking,
No comments:
Post a Comment