Thursday, May 17, 2018

Takleef Mit Gayi Magar Ahsaas Rah Gaya

Takleef mit gayi magar ahsaas rah gaya,
Khush hun ke kuchh na kuchh to mere paas rah gaya..

Pal bhar mein us ki shakl na aai agar nazar,
Yak-dam ulajh ke rishta-e-anfaas rah gaya..

Photo mein dil ki chot na tabdeel ho saki,
Naqlein utaar utaar ke akkaas rah gaya..

Wo jhoothe motiyon ki chamak par phisal gayi,
Main haath mein liye hue almaas rah gaya..

Ek hum-safar ko kho ke ye haalat hui 'Adam',
Jangal mein jis tarah koi be-aas rah gaya.!!

"Abdul Hameed Adam"
__________
Rishta-e-anfaas = relationship of breaths,
Akkaas = Photographer, painter,
Almaas = diamond,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...