Saturday, May 12, 2018

Tanha Hue Kharaab Hue Aaina Hue

Tanha hue kharaab hue aaina hue,
Chaaha tha aadmi banein lekin khuda hue,

Jab tak jiye bikharte rahe toot te rahe,
Hum saans saans qarz ki surat ada hue,

Hum bhi kisi kamaan se nikle the teer se,
Ye aur baat hai ke nishaane khata hue,

Pur-shor raaston se guzarna muhaal tha,
Hat kar chale to aap hi apne saza hue..!!

"Nida Fazli"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...