Saturday, May 12, 2018

Tu Qareeb Aaye To Qurbat Ka Yun Izhaar Karun

Tu qareeb aaye to qurbat ka yun izhaar karun,
Aaina saamne rakh kar tera deedar karun,

Saamne tere karun haar ka apni elaan,
Aur akele mein teri jeet se inkaar karun

Pahle sochun use phir us ki banaaun tasveer,
Aur phir us mein hi paida dar-o-deewar karun,

Mere qabze mein na mitti hai na baadal na hawa,
Phir bhi chahat hai ki har shaakh samar-baar karun,

Subah hote hi ubhar aati hai salim ho kar,
Wahi deewar jise roz main mismaar karun.!!

"Nida Fazli"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...