Talaash kar na zameen aasman se baahar,
Nahin hai raah koi is makaan se baahar,
Bas ek do hi qadam aur the safar waale,
Thakaan dekh na paai thakaan se baahar,
Nisaab darja-ba-darja yun hi badalta hai,
Hua na koi bhi imtihaan se baahar,
Usi ki justuju aksar udaas karti hai,
Wo ek jahaan jo hai har jahaan se baahar,
Namaziyon se kaho dekhein chaand-suraj ko,
Nikal rahe hain muazzin azaan se baahar.!!
"Nida Fazli"
No comments:
Post a Comment